Bibi Fatima Ke Walid ka Naam Kya tha?
Hazrat Muhammad (S.A.W)
Bibi Zehra kee shadi kisse hui?
Imam Ali (a.s) se
Bibi Fatima(S.A) Ke koi se 4 Alqaab batae?
Zehra, muhaddisa, Muhaddasa, Umme abiha, Siddiqah, Tahira, Mubarika
Bibi Fatima Konse shehar mei Paida hui?
Makkah
who was Bibi Fatima's mother?
Bibi Khadija
Bibi Fatima ke kitne Bache the?
5
Bibi ka aisa laqab batai jo Quran mei aik surah ka naam bhi hai?
Al-Kawthar
Ahlul kisa kon log hai? (Naam batai)
Prophet Muhammad
Imam Ali
Bibi Fatima
Imam Hassan
Imam Hussain
Bibi Zahra kee wiladat kab hui?
20 jamadi ul sani
Bibi ke bacho ke naam batai?
Imam Hassan, Imam Hussain, Bibi Zainab, Umme Kulthum, (Hazrat Mohsen)
Umm e abiha ka matlab batai
Apne Abbu kee Ammi
Ahlul bayt se matlab kya hai aur ye kon log hai?
Ahlul bait matlab ghar ke log
Isse matlab Bibi Fatima aur 12 imam hai
Bibi Fatima kitne saal kee thi jab hazrat khadija kee wafaat hui?
8 saal
Bibi Fatima kee qabr e Mubarak Madina mei kidhar hai?
Jannat ul baqi mei ya phir roza e rasool mei
Imam e zamana ke ilawa kisi ko sahi jagah ka nahi pata
Tahira ka matlab kya hai?
Paak
True or False:
Ahlulbait mei se is zamane mei bhi koi zinda hai?
TRUE
Imam Mahdi, the Imam of our time is a member of the Ahl ul Bayt as well.
Wo konsi 4 khatoon hai jo Hazrat Fatima kee wiladat ke waqt Hazrat khadija kee madad karne ko ae?
Hazrat hawwa
Hazrat Asiya
Hazrat kulthum
Hazrat Maryam
Wo konsa khas tohfa hai jo Hazrat Muhammad ne Bibi Fatima ko dya?
Tasbeeh al Zahra
Hum wo Har namaz ke baad parhte hai, 34x Allahu Akbar 33x Alhamdulillah and 33x Subhanallah
Muhaddasa ka matlab kya hai?
Jinse fairishte baat kare?
Hazrat muhammad ne Bibi fatima ko naraz karne ke hawale se kya farmaya tha?
'Fatima mera hissa hai jisne use naraz kya goya usne mujhey naraz kya'