Aye humaray Rab , humain dunya ki bhalai aur akhirat ki Bhalai ata farma aur humain aag k azaab se bacha
Rabbana atina fiddunya hasanah wafil akhirati hasanah waqina azaaban naar
Konsay kalmaat k baray main nabi ne kaha k main ne 30 se zyada farishton ko daikha ko in kalmaat ka sawaab likhnay main jaldi kar rahay thay
Rabbana lakal hamd , hamdan kaseeran tayyibam mubarakan feeh
Hadith k mutabiq
Musalman woh hai jis ki —- aur ——— se doosray musalman mehfooz rahain
Zaban aur haath
Nabi ne kin do cheezon k baray main kaha k Jo un ko mazbooti se pakray ga kabhi gumrah nahin hoga ?
Quran aur sunnat
Quran main woh konsa gunah bataya gaya hai Jo Allah bagair Tauba k maaf nahin karain gay ?
Shirk
Aye Meray Rab , Meray lye apnay pass Jannat main ghar bana de
Rabbibni li indaka baytan fil jannah
Akelay shakhs ki namaz se bajamaat namaz Ada karna Kitnay darjay zyada sawaab hai ?
27 darjay
Hadith k mitabiq Jo shakhs kisi ko bhalai ki taraf dawat deta hai us ko kitna ajar milta hai ?
Bhalai karnay walay Kay barabar
Woh kon log hongay Jo Qayamat k din Nabi k hoz ( hoz e kausar) k paani se mehroom rahain gay ?
Bidaati
Qayamat k din tum se har namat k baray main sawal Kya jayega . Konsi Surat main hai ?
Surah takasur
Aye Meray Rab Mujhay bakhsh de aur raham farma aur Tu raham karnay walon main sab se behtreen hai
Rabbigfir Warham wa Anta khairur Rahimeen
Wudhu karnay k baad Konsi dua parhnay se Jannat k aathon darwazay khol dye jatay hain Jis se chahay dakhil ho jaye
Ashhadu An la ilaha illallahu wahdahu lashareekalahu wa ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Warasooluhu
Konsi namaz dunya aur dunya main Jo kuch hai un sab se behter hai ??
Fajr ki 2 sunnatain
Masnoon rozay konsay hain Jo Nabi farz k ilawa rakha kartay thay ya Jin ko rakhnay ki targeeb di hai ?
Monday , Thursday , every month 13,14,15, ashura , Zilhajj k pehlay 9 din , shawwal k 6 rozay
Quran ki doosri wohi Konsi Surat ki ayaat Nazil hui ?
Aye humaray Rabb, humain apni bewion aur Aulad se ankhon ki thandak ata farma aur humain muttaqeen ka imam bana
Rabbana hablana min azwajina wa zurriyatina qurrata aayun wajalna lilmuttaqeena imaama
Konsa Amal jannat main Nabi ki rafaqat ka bais banay ga ?
Kasrat e sujood
Hadith k mutabiq
Jo Shakhs ilm hasil karnay k lye kisi raastay per chalta to us k lye Kya khushkhabri hai ?
Allah is k lye jannat ka raasta asaan kar detay hain
Koi 4 waqt batain Jab Nabi miswaak kartay thay?
Uthnay k baad
Sonay se pehlay
Ghar main dakhil hotay hi
Namaz se pehlay
Surah Abas ki Shru ki ayaat Konsay nabeena Sahabi k baray main Nazil hui ?
Abdullah ibn umm maktoom
Aye humaray Rabb , hum ne apnay upper zulm Kya aur agar Tu ne hum se darguzar na Farmaya aur hum per raham na Kya to yaqeenan hum khasara panay walon main ho jayen gay
Rabbana zalamna anfusana wail lam tagfirlana watarhamna lanakonanna Minal khasireen
Nabi ne Farmaya k Mujhay 7 hadiyoon per sajda karnay ka Hukum dya gaya hai . Konsi 7 hadiyaan?
Paishaani, Dono haath, Dono ghutnay, Dono qadmon k panjay
Do kalmay zaban per halkay, Meezan per bhari hain aur Rahman ko bht pasand hain . Woh Kya hain ? Tarjuma k saath batain
Subhan Allah wabihamdihi
Subhan Allahil Azeem
Allah Pak hai aur usi k lye tareef hai aur Allah Pak hai Azmat wala
Quran k mutabiq Nabi ki ittiba karnay se Konsi do cheezain hasil hongi ?
Allah ki muhabbat
Gunahon ki maafi
Quran main kon kon say nabion k naam per surtain hain ?
Muhammad , Ibrahim , Nooh , Hud, yunus , yusuf