Hazrat Abu Ubaidah ka poora naam kya tha?
Amir Bin ABdullah Bin JArrah
Jab Hazrat Abu Ubaidah Ne Prophet k chehray se apnay daanton kay zarye khod ki kari nikali to kya hua?
Un k samnay kay daant toot gaye
Hazrat Khalid Bin waleed Quraish kay konsay qabilay se talluq rakhtay thay?
banu Makhzoom
Hazrat Khalid Bin Waleed ne musalmano ki taraf se sab se pehli jang konsi lari?
jang e mauta
sarya kis jang ko kehtay hain?
woh jang jis main nabi khud shamil nahin huay magar aap k zamanay main lari gaye
Hazrat Abdullah Bin Umer Quraish Ki konsi 3 shaksiyat kay baray main kehtay thay k un k chehray sab se haseen, akhlaq sab se umdah, haya sab se zyada, baat karain to kabhi jhoot na bolain?
Hazrat Abu Bakar
Hazrat Usman
Hazrat Abu Ubaidah
Hazrat Abu Ubaidah Ki namaz e janazah kis ne parhai?
Hazrat Muaaz Bin JAbal
Hazrat Khalid Bin Waleed ne musalman bannay se pehlay kya khuwab daikha?
Aik Bht tang aur bareek ghati hai aur main us ghati se nikal kar aik bht sarsabz aur wasee o areez maidan main aa gaya hoon
Islam Lanay kay baad Hazrat Khalid Bin Waleed ko sab se zyada fikr kis baray main thi ?
un ko yeh fikr thi k Islam LAnay se pehlay jo main ne talwar ki nok per logon ko Islam se roka , ab meray un sab gunahon ka kya hoga
Jang e MAuta main Hazrat Khalid Bin Waleed k haath se kitni talwarain toti?
9 talwar
Hazrat Abu Ubaidah ne Jab Hazrat Amr Bin Aas ki matihati main jang lari to Prophet Muhammad ne aap k akhlaq se khush ho kar aap ko kya dua di?
Aye Allah! Abu Ubaidah per rehmat farma
Hazrat Abu UBaidah k saath kin do sahab ne Hazrat Abu BAkar ki tableeg se Islam Qubool kya?
Hazrat Usman Bin Mazoon
Hazrat Abdur Rehman Bin Auf
Kis kay baray main Prophet ne kaha k jis ne un ka dil dukhaya us ne mera dil dukhaya aur jis ne mera dil dukhaya us ne goya Allah ko takleef di?
Hazrat Ammar Bin Yasir
HAzrat Khalid bin Waleed ko HAzrat Umer ne Un kay uhday se kyun bartaraf kya ?
Kyunk logon ne un ko fatah ka nishan samajh lya tha
konsi jang muslamon ne do dhai lakh roomion k khilaf lari?
Jang e Yarmook
konsi hijri main aur kahan se wafad aya tha jab prophet ne un se kaha tha k main tumharay saath aisay shaks ko bhaijoon ga jo is ummat ka ameen hai ?
9 hijri main ahle najran aaye thay
Quran ki kosi ayat aur un k kis amal ki waja se Abu Ubaidah ki tareef main nazil hui ?
Surah Mujadila ayat 22
Unhon ne jang e Badar main apnay walid ko qatal kya jo mushrikeen ki taraf se larnay aaye thay
Kin 3 logon k Islam qubool Karnay kay baad un kay baray main Prophet ne kaha k MAkkah ne tum logon ki taraf apnay jigar kay tukray daal dye?
HAzrat Amr Bin Aas
HAzrat Khalid Bin Waleed
woh konsi jang thi jis main musalman apni kasrat per bht khush thay aur us jang main Allah ne musalmano ki madad ki us ka zikr Quran ki konsi surat main hai?
JAng e Hunain
Surah Tauba ayat 26
FAtah Makkah kay din Jab HAzrat Khalid Bin Waleed aik ghati se bari shan k saath niklay to Allah kay rasool ne un kay baray main kya farmaya?
yeh Allah ka banda bhi kya khoob hai
woh knosa sarya tha jab sahaba k pass khanay k lye kuch nahin tha , woh pattay kha kar guzara kar rahay thay aur phir Allah ki taraf se madad aaye aur aik bht bari machli kinaray per aaye jis ko bht dino tak sahaba ne khaya?
Saryatul Qat ( patton wala sarya)
17 hijri main jab Hazrat Umer ne Hazrat Khalid bin waleed ko damishq ka waali kay mansab se hata kar Abu Ubaidah ko wali banaya to HAzrat Khalid ne jatay waqt aur hazrat Abu Ubaidah ne woh mansab smbhaltay waqt kya kaha ?
HAzrat Khalid ne kaha k tum logon per ameenulummat ko hukmaran bana dya gaya hai
hazrat Abu Ubaidah ne kaha k khalid Allah ki talwaron main se aik talwar hai
Hazrat Abu BAkar kay dor e khilafat main un ko kin masael ka samna karna para? koi 3 batain
kuch logon ne jhoti nabuwat ka dawah kya , kuch log murtad, kuch log bagawat
konsi jang aisi thi jo musallama kazzab k khilaf lari gaye ? musallama kazzab ko kis ne qatal kya? aur is jang main huffaz ki shahadat ki waja se konsa kaam kya gaya ?`
jang e yamama
Wahshi
tadveen e Quran
Musallama kazzab ki taraf Hazrat Abu BAkar ne konsay do musalman leaders ko bhaija , un dono ne alag alag hamla kya jis ki waja se musallama kazzab ka khatma nahin ho saka?
Hazrat Shahveel
HAzrat Ikrima bin abi jahal