Prophet Muhammad ki kin do betion se hazrat Usman ki shaadi hui?
Hazrat Ruqaiyyah aur Hazrat Umme Kulsoom
HAzrat Abdullah Bin Abbas ko Prophet Muhammad ne kis cheez main izafay ki dua di?
Deen ki samajh k lye aur ilm main izafay ki dua di
Hazrat Salman Farsi konsay mazhab per thay?
Aatish PArst thay (aag ki ibadat karnay walay)
sahaba , tabain aur taba tabaieen konsay 3 ashron ki bht tazeem (respect) kartay thay?
Muharram ka pehla ashra
zilhajj ka pehla ashra
ramzan ka akhri ashra
HAzrat USman kya kar rahay thay jis waqt un ko shaheed kya gaya?
woh Quran parh rahay thay
Konsay Sahabi unhain baray baray sahaba ki majlis main bithatay thay jabkay un ki umar bht kam thi?
HAzrat Umer
Hazrat Salman Farsi ne kis waja se apna ghar aur apna city chora?
Haq ki talaash main
Ashura ka roza konsay din hota hai aur us ki kya fazeelat hai aur Arfa ka roza konsay din rakhtay hain aur us ki kya fazeelat hai?
Ashura ka roza 10 muharram ko rakhtay hain aur aik saal kay sageera gunah maaf hotay hain
Arfa ka roza 10 zilhajj ko rakhaty hain aur do saal kay sageera gunah maaf hotay hain
HAzrat Usman kis ki tableeg se musalman huay?
Hazrat Abu BAkar
Hazrat Abdullah Bin Abbas KI mother ka naam aur woh kis ki behn thi?
HAzrat Ummul Fazal aur woh Ummul Momineen Hazrat Maimoona ki Behn thi
Prophet Muhammad ne Hazrat Salman k baray main kya kaha . koi aik batain?
Salman meray Ahle Bait main se hain
salman ilm se labraiz hain
chand daikhnay ki dua sunain meaning k saath
Allahumma Ahillahu Alaina Bilyumni Walimani Wassalamati Walislami Rabbi Warab bukallah
Aye Allah yeh chand hum per aman, Iman, salamti aur Islam k saath aaye . Aye chand mera aur tera rab Allah hai
HAzrat USman ko kya kya laqab milay. koi 3 batain
Zunnorain, Ghani, KAmil ul hAya , kamil ul Iman
Hazrat Zaid Bin Sabit k inteqal k baad konsay sahabi ne kaha tha k mujhay umeed hai k Allah Ibn e Abbas ko un ka Qaim Maqam banaye ga ?
Hazrat Abu Huraira
Eesai padri ne HAzrat Salman Farsi ko akhri nabi k baray main konsi 3 nishanian batain?
Sadqa nahin letay
hadya qubool kartay hain
dono kandhon kay beech mohr e nabuwat hogi
konsi surat main do Qasam khaye gaye hain jin main se aik se murad jummay ka din hai aur doosray se murad arfa ka din hai?
Surah burooj main Washahidyun Wamashhood
Shahid means Friday and mashhood means Arfa
Hazrat Usman k lye kis ne sab k dil main shak paida kya aur phir Hazrat Usman ko shaheed kya ?
Abdullah Bin sabah
Hazrat Abdullah Bin Abbas kay koi 2 laqab (title) batain?
Ummat KA Aalim, Mufassir e Quran, Ilm ka samandar
Prophet Muhammad ne kin 3 logon k baray man kaha k in k lye jannat mushtaq hai yani jannat un k lye shoq se intezar kar rahi hai?
HAzrat Ali, HAzrat Ammar, HAzrat Salman
Ahadith se Sadqa karnay k 4 rewards batain ( jo hum ne taleem main parhay thay)
Allah ka gussa thanda hota hai
Buri Mout se bacha kar husn e khatma hota hai
Arsh ka saaya milay ga
gunah maaf hotay hain
Khujoor k barabar sadqa pahar k barabar nama Aamaal main